nim-shab aatish-e-fariyaad-e-asiran raushan dhup si phail rahi hai sar-e-diwar-e-chaman ya tere qurb ki ye saat-e-afsurda hai ya kabhi tere tasawwur se sulagta tha badan dil-jale roe hain shayad kahin phir aakhir-e-shab bhiga bhiga hai nasim-e-sahari ka daman aaj tak yaad hai wo sham-e-judai ka saman teri aawaz ki larzish tere lahje ki thakan dil ke zakhmon se mahak aati hai phulon ki 'azim' sina-e-chaak hai ya rakhna-e-diwar-e-chaman