ai husn-e-yar sharm ye kya inqalab hai tujh se ziyaada dard tera kaamyab hai aashiq ki be-dili ka taghaful nahin jawab us ka bas ek josh-e-mohabbat jawab hai teri inayaten ki nahin nazr-e-jaan qubul teri nawazishen ki zamana kharab hai ai husn apni hausla-afzaiyan to dekh mana ki chashm-e-shauq bahut be-hijab hai main ishq-e-be-niyaz hun tum husn-e-be-panah mera jawab hai na tumhaara jawab hai mai-khana hai usi ka ye duniya usi ki hai jis tishna-lab ke hath mein jam-e-sharab hai us se dil-e-tabah ki rudad kya kahun jo ye na sun sake ki zamana kharab hai ai mohtasib na phenk mere mohtasib na phenk zalim sharab hai are zalim sharab hai apne hudud se na badhe koi ishq mein jo zarra jis jagah hai wahin aaftab hai wo lakh samne hon magar is ka kya ilaj dil manta nahin ki nazar kaamyab hai meri nigah-e-shauq bhi kuchh kam nahin magar phir bhi tera shabab tera hi shabab hai manus-e-e'tibar-e-karam kyun kiya mujhe ab har khata-e-shauq isi ka jawab hai main us ka aaina hun wo hai mera aaina meri nazar se us ki nazar kaamyab hai tanhai-e-firaq ke qurban jaiye main hun khayal-e-yar hai chashm-e-pur-ab hai sarmaya-e-firaq 'jigar' aah kuchh na puchh ab jaan hai so apne liye khud azab hai