nind aankhon se udi phul se khushbu ki tarah ji bahal jaega shab se tere gesu ki tarah dosto jashn manao ki bahaar aai hai phul girte hain har ek shakh se aansu ki tarah meri aashuftagi-e-shauq mein ek husn bhi hai tere aariz pe machalte hue gesu ki tarah ab tere hijr mein lazzat na tere wasl mein lutf in dinon zist hai thahre hue aansu ki tarah zindagi ki yahi qimat hai ki arzan ho jao naghma-e-dard liye mauja-e-khushbu ki tarah kis ko malum nahin kaun tha wo shakhs 'alim' jis ki khatir rahe aawara hum aahu ki tarah