pa-ba-zanjir sahi zamzama-khwan hain hum log mahfil-e-waqt teri ruh-e-rawan hain hum log dosh par bar-e-shab-e-gham liye gul ki manind kaun samjhe ki mohabbat ki zaban hain hum log khub paya hai sila teri parastari ka dekh ai subh-e-tarab aaj kahan hain hum log ek mata-e-dil-o-jaan pas thi so haar chuke hae ye waqt ki ab khud pe garan hain hum log nikhat-e-gul ki tarah naz se chalne walo hum bhi kahte the ki aasuda-e-jaan hain hum log koi batlae ki kaise ye khabar aam karen dhundti hai jise duniya wo nishan hain hum log qismat-e-shab-zadagan jag hi jaegi 'alim' jaras-e-qafila-e-khush-khabran hain hum log