nind aati hai magar khwab nahin aate hain mujh se milne mere ahbab nahin aate hain shahr ki bhid se khud ko to bacha lata hun go salamat mere aasab nahin aate hain tishnagi dasht ki dariya ko dubo de na kahin is liye dasht mein sailab nahin aate hain dubte waqt samundar mein mere hath lage wo jawahir jo sar-e-ab nahin aate hain ya unhen aati nahin bazm-e-sukhan-arai ya hamein bazm ke aadab nahin aate hain ham-nashin dekh mukafat-e-amal hai duniya kaam kuchh bhi yahan asbab nahin aate hain