nind ki aankh-micholi se maza lete hain phenk dete hain kitabon ko utha lete hain bhula-bhatka sa musafir koi shayad mil jae do qadam chalte hain aawaz laga lete hain abr ke tukdon mein khurshid ghira ho jaise kahin kahte hain kahin baat chhupa lete hain aandhiyan tez chalengi to andhera hoga khud bhi aise mein charaghon ko bujha lete hain waraq-e-zist ko rakhna bhi hai sada 'mahshar' haal-e-gham likhte hain aur ashk baha lete hain