teri rah mein rakh kar apni sham ki aahat dam-ba-khud si baithi hai mere baam ki aahat hath ki lakiron se kis tarah nikalun main teri yaad ke mausam, tere nam ki aahat jab ye dil rifaqat ki kachchi nind se jaga har taraf sunai di ikhtitam ki aahat raat ke utarte hi dil ki suni galiyon mein jag uthti hai phir se tere nam ki aahat baith jati hai aa kar dar pe kyun mire, 'nahid' tere sath ki khushbu, tere gam ki aahat