nind mein khulte hue khwab ki uryani par main ne bosa diya mahtab ki peshani par is qabile mein koi ishq se waqif hi nahin log hanste hain meri chaak-girebani par nazar aati hai tujh aison ko shabahat apni main ne taswir banai thi kabhi pani par hum faqiron ko isi khak se nisbat hai bahut hum na baithenge tere takht-e-sulaimani par us se kuchh khas talluq bhi nahin hai apna main pareshan hua jis ki pareshani par pas hai lafz ki hurmat ka wagarna 'azar' koi tamgha to nahin milta ghazal-khwani par