zulmaton mein raushni ki justuju karte raho

zulmaton mein raushni ki justuju karte raho
zindagi bhar zindagi ki justuju karte raho

jis pe ho saqi ba-zom-e-hosh-mandi bhi fida
us mukammal be-khudi ki justuju karte raho

be-junun chalta nahin hai kar-e-tamir-e-hayat
hosh walo aagahi ki justuju karte raho

aadmiyat ke siwa jis ka koi maqsad na ho
umr bhar us aadmi ki justuju karte raho

shart-e-irfan-e-khuda 'anwar' hai khud apni talash
yun to karne ko kisi ki justuju karte raho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close