nind se jagi hui aankhon ko andha kar diya dhund ne shaffaf aainon ko dhundla kar diya jodta rahta hun tute rabton ka fasla mujh ko lamhon ke sarabon ne akela kar diya chikhta phirta hai sadkon par sadaon ka hujum kis khamoshi ne gali-kuchon ko bahra kar diya har sada takra ke behis khamushi se gir padi har sada ne khamushi ko aur gahra kar diya hum ne phir shaffaf raston par bichai aankh aankh hum ne phir aaina-e-dil reza reza kar diya hum ne pahnae hain khwahish ko ragon ke pairahan us ne mangi bund hum ne khun dariya kar diya shahr ki betab galiyon ne ugal dale hain log kis ne mere shahr mein murdon ko zinda kar diya jam gae diwar-o-dar par gunjte lafzon ke naqsh ek hangame ne sara shahr gunga kar diya aankh mein dhundla gaya nikhre hue chehron ka rang jagmagate aainon ko kis ne maila kar diya ek ek chehre pe 'sarmad' pad gai shak ki lakir jaane kis bad-ruh ne logon pe saya kar diya