zabt ki had se bhi jis waqt guzar jata hai dard honton pe hansi ban ke bikhar jata hai rang bhar jata hai phir ishq ke afsane mein ashk ban ban ke agar khun-e-jigar jata hai aaj tak aalam-e-wahshat mein piye jate hain kitni muddat mein ghataon ka asar jata hai jam pi lete hain sab dekhna hai zarf magar kaun kis waqt utha aur kidhar jata hai daur-e-wahshat mein mohabbat mein junun mein insan jo na mumkin ho kisi taur wo kar jata hai apne beganon se kuchh besh the aazari mein baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai kitna be-khauf ho be-dard na kyun ho aakhir aaina dekh ke aamal se dar jata hai waqt kat jae agar aalam-e-tanhai mein dil mein ehsas-e-mulaqat hi mar jata hai wo jo duniya ki haqiqat ko samajh le insan apni manzil ki taraf sina-sipar jata hai aalam-e-naz mein kuchh bhi to nahin tere siwa ek tasawwur hai jo ta-hadd-e-nazar jata hai sainkadon dagh chamakte hain tah-e-qalb ai 'shauq' kitni gahrai mein uf aks utar jata hai