nind se mujh ko jagata hai chala jata hai wo mere khwab mein aata hai chala jata hai aur mein tek hatata nahin darwaze se ishq aawaz lagata hai chala jata hai chhed wo rag lahu aankh se nikle dil ka to bhi kya git sunata hai chala jata hai mera kirdar kahani mein faqat itna hai koi rota hua aata hai chala jata hai roz-e-awwal ka thaka haara musafir ek din bojh kandhon se giraata hai chala jata hai ek tabqa to kai nasl se is duniya se khwab aankhon mein sajata hai chala jata hai tujh ko malum nahin teri talab ka lamha kitni sadiyon ko mitata hai chala jata hai jis tarah se ye zamin ghum rahi hai sahir baat aise wo ghumata hai chala jata hai