main tahi-dast mohabbat mein bhala kya deta tere hisse se magar tujh ko ziyaada deta zindagi tu ne badi der laga di warna main tujhe milta tere gal pe bosa deta baz auqat agar sher na hota mujh se us ki aankhon ka ishaara mujhe misra deta main zamane ko banata to zamane bhar ko teri aankhen tera chehra tera lahja deta tu thaharta to koi hal bhi nikal sakta tha sath chalta na tere mashwara achchha deta tum ko lalach thi khazane ki so nakaam hue mujh se kahte to main us ghaar ka naqsha deta itna khush tha wo bichhadte hue mujh se warna panw padta main use rokta samjha deta pith pichhe se agar war na karta 'sahir' apne dushman ke janaze ko main kandha deta