nind se rishta koi joda nahin khwab to hum ne kabhi dekha nahin manzilen hain muntazir jis mod par rasta us mod tak jata nahin jhut ke lashkar kahan tik pae hain aur jo sach hai kabhi marta nahin waqt ne ek ye sabaq hum ko diya sochte hain jo kabhi hota nahin is qadar dil ko hai jis ki aarzu us ke aage kuchh kaha jata nahin jis ghadi chhoda tha aangan 'prem' ne rasta apno ne bhi roka nahin