sikh lo zindagi amar karna pyar ke bij ko shajar karna kaam ye sakht hai magar karna apni hasti ko mo'atabar karna rukh hawaon ka bhanp kar karna aasmanon pe jab safar karna ishq gunga hai jab-ki khwahish thi us ki aawaz pe safar karna ek din gham hamein sikha dega apne alfaz mein asar karna tir khae hain sab kaleje par hum ne sikha nahin mafar karna nakhuda par bhi utarega bich mein mat agar-magar karna sikh jaenge hum mohabbat mein aansuon mein guzar basar karna raat bhi hai to us ki marzi se jis ke hathon mein hai sahar karna tir wapas kabhi nahin aata jo bhi karna wo soch kar karna 'prem' rahta hai jis bulandi par us bulandi ko tum bhi sar karna