nisar yun to hua tujh pe naqd-e-jaan kya kya magar raha bhi tera husn sargiran kya kya alag alag bhi bahut dil-fareb niklegi kahenge log abhi teri dastan kya kya hisab-e-mai hai harifan-e-baada-paima se uthega ab ke rag-e-tak se dhuan kya kya nafs ki rau mein koi pech-o-tab dariya tha gaya hai wadi-e-jaan se rawan-dawan kya kya wafa ki raat koi ittifaq thi lekin pukarte hain musafir ko saeban kya kya hazar shamen jalae hue khadi hai khirad magar faza mein andhera hai darmiyan kya kya