sab pech-o-tab-e-shauq ke tufan tham gae wo zulf khul gai to hawaon ke kham gae sari faza thi wadi-e-majnun ki khwab-nak jo rushanas-e-marg-e-mohabbat the kam gae wahshat si ek lala-e-khunin kafan se thi ab ke bahaar aai to samjho ki hum gae ab jin ke gham ka tera tabassum hai parda-dar aakhir wo kaun the ki ba-mizhgan-e-nam gae ai jada-e-khiram-e-mah-o-mahr dekhna teri taraf bhi aaj hawa ke qadam gae main aur tere band-e-qaba ki hadis-e-ishq na-dida khwab-e-ishq kai be-raqam gae aisi koi khabar to nahin sakinan-e-shahr dariya mohabbaton ke jo bahte the tham gae