'nisha' ghabra ke kashanon se viranon mein aa pahunche bahaar aai to ahl-e-dil bayabanon mein aa pahunche hamari kya khata hai ye khata dair-o-haram ki hai khuda ka ghar na ras aaya to mai-khanon mein aa pahunche hamari gumrahi aakhir hamein raste pe le aai khirad ke dasht-o-dar se chal ke insanon mein aa pahunche gulon ki baryabi ka sabab rang-o-latafat hai ye kante kis tarah aakhir gulistanon mein aa pahunche qarin jab aa gai manzil to jaane kya hamein sujhi palat kar az-sar-e-nau phir unhin rahon mein aa pahunche abhi hai dur faiz-e-sohbat-e-ikhlas ki duniya jo mai-khwaron tak aa jae to insanon mein aa pahunche na aata tha na aae wo kuchh aisi baat thi lekin ye kya kam hai dabe panw mere sheron mein aa pahunche