main chala hun dhundhta manzilen mujhe aashna ki talash hai meri is jabin-e-niyaz ko tere naqsh-e-pa ki talash hai wo faza-e-ishq pe hai nazar jo wasia se ho wasia-tar abhi intiha ka hai zikr kya abhi ibtida ki talash hai jo nisar pa-e-hasin hua jo ghubar ban ke bhi ud chuka rah-e-be-khudi mein mujhe usi dil-e-mubtala ki talash hai sabhi rahmaten jo samet le jo hua na ho kisi aur se mujhe us gunah ki hai justuju mujhe us khata ki talash hai main hi sar-ba-sajda raha karun main tawaf-e-shauq kiya karun jo khuda na ho kisi aur ka mujhe us khuda ki talash hai abhi mai-kade se hain nisbaten abhi hain sukun ki kawishen abhi kham hai mera soz-e-gham mujhe intiha ki talash hai ye baja ki husn ko naz hai ye durust ishq ko fakhr hai jo sarapa khud ho jala 'nisha' mujhe us wafa ki talash hai