nishan apna mitata ja raha hun tere nazdik aata ja raha hun main apne zauq-e-ulfat ke tasadduq sitam par muskuraata ja raha hun musalsal baj raha hai barbat-e-jaur wafa ke git gata ja raha hun fasana naza mein nakaamiyon ka nigahon se sunata ja raha hun mohabbat hoti jati hai mukammal musibat mein samata ja raha hun mazaq-e-justuju hai apna apna unhen gum ho ke pata ja raha hun yahan to hairaten hi hairaten hain ye kis mahfil mein aata ja raha hun meri aahon ke hain duniya mein charche jahan par 'abr' chhata ja raha hun