mushkil hai un ke rukh pe thaharna naqab ka badhne laga hai josh mere iztirab ka ai aasman dekh sitam koi rah na jae main yaad kya karunga zamana shabab ka sar ka ke mere munh se kafan kah rahe hain wo shikwa tha kya tumhin ko hamare hijab ka duniya ka zarra zarra badalta hai karwaten sab par asar hai ek dil-e-pur-iztirab ka han dekh 'abr' aah teri kaam kar gai sarka rahe hain rukh se wo gosha naqab ka