nishan-e-sajda pe itna guman achchha nahin

nishan-e-sajda pe itna guman achchha nahin
ba-roz-e-hashr khuda dil padhega chehra nahin

wo saneha tha kisi ne mujhe bachaya nahin
par us ke ba'd koi shakhs muskuraya nahin

bahut se log mere sath chal rahe hain magar
ye aisi bhid hai jis mein koi kisi ka nahin

bhanwar uthe hain mere nakhuda ki aankhon se
main jaanta hun ki dariya to itna gahra nahin

muhajiron ke muqaddar mein bas andhere hain
wahan charagh nahin the yahan ujala nahin

ye kam nahin hai ki zakhmon pe mutmain hun bahut
ye gham nahin hai koi sath rone wala nahin

main apni tira-nasibi se haar man gaya
tamam umr jala aur jagmagaya nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close