sahib-e-fahm-o-farasat jo hain ghar baiThe hain

sahib-e-fahm-o-farasat jo hain ghar baithe hain
aur har mod pe kuchh shoabda-gar baithe hain

jis taraf sab hain udhar hona badi baat na thi
kuchh to uljhan hai jo hum aa ke idhar baithe hain

aasmanon ke ishaare nahin samjhe hum ne
ab zaminon pe samete hue par baithe hain

ai mere dida-waro kaun si majburi hai
kyon jhukae hue darbar mein sar baithe hain

shab-paraston se nibhana hai talluq warna
hum chhupae hue mutthi mein sahar baithe hain

tu ne mukhlis jinhen samjha hai nazar rakh un par
dost ban ke teri kashti mein bhanwar baithe hain

sher achchha tha magar dad nahin mil pai
maslahat odh ke sab ahl-e-nazar baithe hain

aur phir dil ka kaha man liya tha 'tariq'
ek yahi kar-e-nadamat tha jo kar baithe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close