nishan kisi ko milega bhala kahan mera ki ek ruh tha main jism tha nishan mera har ek sans naya sal ban ke aata hai qadam qadam abhi baqi hai imtihan mera meri zamin mujhe aaghosh mein samet bhi le na aasman ka rahun main na aasman mera chala gaya tere hamrah khauf-e-ruswai ki tu hi raaz tha aur tu hi raaz-dan mera tujhe bhi meri tarah dhup chat jaegi agar raha na tere sar pe saeban mera malal-e-rang-e-jalal-o-jamal thahra hai dayar-e-sang hua hai dayar-e-jaan mera kai 'najib' isi aag se janam lenge ki meri rakh se banna hai aashiyan mera