nae safar ki lazzaton se jism o jaan ko sar karo safar mein hongi barkaten safar karo safar karo udas raat ke gudaz jism ko tatol kar kisi ki zulf-e-saya-dar ki girah mein ghar karo jo aankh ho to dekh tu sarab hi sarab hai na e'tibar tishnagi mein mauj-e-ab par karo purani aastin se purane but karo riha nai zamin par nae khuda ko mo'tabar karo jamal-e-yar se karo kabhi nazar ko pak bhi khayal-e-yar se kabhi kabhi shaben sahar karo