nishan qafla-dar-qafla rahega mera jahan hai gard-e-safar silsila rahega mera mujhe na tu ne meri zindagi guzarne di zamane tujh se hamesha gila rahega mera siyah dilon mein sitaron ki fasl ugane ko hunar charagh ki lau se mila rahega mera ujadte waqt se barbaad hoti duniya se tere sabab se talluq dila rahega mera na guftugu se ye larzish guman ki jaegi agar asas ka patthar hila rahega mera ye soch kar kabhi aks us kiran ka utra tha is aaina mein sada dil khila rahega mera 'riyaz' chup se badhe aur dukh zarurat ke mujhe tha zom ye ghao sila rahega mera