tabibo chaaragaro tum se jo hua so hua hamare dam pe bharosa rakho hua so hua wo apne haal mein khush hai hum apne haal pe khush ab is ka zikr na yaro karo hua so hua bahut hua to wahi hoga jis ka dar hai hamein jo ho raha hai wo hone do jo hua so hua abas hai kasrat-e-kar-e-junun bhi aise mein azizo chaak-e-gareban siyo hua so hua koi bhi surat-e-ahwal ko na jaanega jo dil ki baat hai dil mein rakho hua so hua saba ke bas mein nahin ab payam-e-subh-e-visal dayar-e-hijr ke zindaniyo hua so hua kahen hain rekhta punjab mein nazar-sahib ba-qadr-e-zauq tum un ki suno hua so hua