nist be-yar mujh ko hasti hai shahr-e-viran ujad basti hai hai jahan par mera qadam bhaari har qadam par zamin dhansti hai wo pari sath le ke sota hun hur jis ka palang kasti hai hai haqiqat majaz se matlub but-parasti khuda-parasti hai us ke kushte hain zinda-e-jawed nisti un ki ain hasti hai ek but ne diya na hum ko jawab be-zabanon ki hind basti hai khaksaron ki hai yahi mearaj sar-bulandi hamari pasti hai hai kai din se ghat mein sayyaad andalib aaj-kal mein phansti hai is muraqqa ki dekh taswiren koi roti hai koi hansti hai manzil-e-ishq ki hai rah hamwar na bulandi hai yan na pasti hai husn dikhla raha hai qudrat-e-haq but ko bhi zauq-e-khud-parasti hai jaan bhi de kar mile to muft samajh har tarah jins-e-husn sasti hai zulf us ki siyah nagin hai mar rakhti hai jis ko dasti hai khulengi aankhen nashsha utrega husn tak upri ye masti hai aise jine pe 'rind' khak pade maut us zindagi pe hansti hai