rah-e-wafa mein rahe ye nishan-e-khatir bas baghair nam ho mazkur har musafir bas hazar wadi-e-tarik se guzarta hua ye ishq chahta hai ho tera muasir bas tawil marhala-e-justuju bhi tha darpesh so ittifaq nahin tha hua wo zahir bas phir is ke baad sabhi ho gaya idhar ka udhar wo ek lamha-e-maujud mein tha hazir bas ye ek jazira-e-be-rah bhi nahin rahna to kya qarib hai wo majma-ul-jazair bas