nit-nae naqsh se baatin ko sajata hua main

nit-nae naqsh se baatin ko sajata hua main
apne zahir ke khad-o-khal mitata hua main

lahza lahza ye fida hoti hui mujh pe hayat
aur har aan nazar us se churaata hua main

jaane kis rut mein khilenge yahan tabir ke phul
sochta rahta hun ab khwab ugata hua main

har ghadi badhti hui tishna-labi ishq tiri!
dil ke riste hue zakhmon se bujhata hua main

roz hota hua mujh mein kisi khwahish ka janam
roz hi qabr nai khud mein banata hua main

rahraw-e-shauq! karo yun! mere pichhe aao
aao chalta hun tumhein rah dikhata hua main

ab kahan waise hain idrak ke lamhat nasib
yaad mein kho ke teri khud ko wo pata hua main

aaj bhi yaad hain 'sarim' ko manazir sare
har ada par wo teri jaan se jata hua main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close