nit-nae rang ke naghmat se ji Darta hai

nit-nae rang ke naghmat se ji darta hai
ab to is shahr-e-kharabaat se ji darta hai

nind ka lutf na bedari-e-shab ki lazzat
zehn mein jagte khadshat se ji darta hai

shab ki peshani pe likkhi hui tahrir kabhi
dekh lete hain to har baat se ji darta hai

khamushi mahw-e-tamasha-e-khirad hai lekin
is mein poshida sawalat se ji darta hai

jin pe mamur kiye jaane lage aadam-khor
aise khun-rez maqamat se ji darta hai

jin se tashkil hui zulmat-e-nau ki tanwir
un siyah-kari-e-haalat se ji darta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close