zindagi ke is safar mein hadisa kuchh bhi nahin

zindagi ke is safar mein hadisa kuchh bhi nahin
tut kar bikhre the kitne par hua kuchh bhi nahin

ho gaya nam khud-bakhud hi sada lamhon ka waraq
tujh ko likhna tha bahut kuchh par likha kuchh bhi nahin

kaun mujh mein jhelta hai khamushi se karb-e-jaan
koi andar tutta hai par sada kuchh bhi nahin

kis qadar tha barq-pa ye udte lamhon ka safar
manzilon ki gard thi is ke siwa kuchh bhi nahin

dekhte the apna chehra aks andar aks hum
har pas-e-manzar mein 'asif' kya mila kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close