nit-nae rang se karta raha dil ko pamal barbat-e-jaan mein samaya hua ek husn-e-malal umar kati hai ghani chhanw mein zulfon ki bahut aao ab ranj ki dahliz pe sajde kuchh sal wo badan jis ka ujala tha hamari jannat dhyan mein us ke hue aaj magar kaise nidhaal gori bahen bhi hamail raha karti thin kabhi aur ab sar bhi uthana hua zanu se muhaal tu mayassar tha to dil mein the hazaron arman tu nahin hai to har ek samt ajab rang-e-malal har taraf apne andhera hi andhera lekin aasman par ye sitaron ka chamakta hua jal