niyaz-agin hai aur naz-afrin bhi agar sajde mein jhuk jae jabin bhi haq-agahi se uth jaenge parde nazar ho nukta-ras bhi nukta-chin bhi dilon mein chahiye wusat-nigahi badal jati hai chashm-e-khashmagin bhi haqaeq par jami hai gard-e-baatil hai gum wahmon mein ehsas-e-yaqin bhi salamat un ka daman be-khudi mein liya hai hum ne kar-e-astin bhi ujale hain mere qalb-o-nazar ke ye mehr-e-zau-fishan mah-e-mubin bhi ba-faiz-e-talkhi-e-haalat 'raunaq' ibarat zahr se hai angbin bhi