na-tawani mein bhi wo kirdar hona chahiye apne hi kandhe pe apna bar hona chahiye ye khayal aane laga hai kis tawaqqo par tumhein rah mein har ped saya-dar hona chahiye shahr bhar mein sakht jaani ke liye mashhur hun meri khatir ek na ek aazar hona chahiye mera dushman dur tak koi nahin mere siwa aur dushman se mujhe hoshiyar hona chahiye ye subuk-saran-e-sahil kis qadar hain mutmain in ke aage bhi koi manjhdar hona chahiye phul ki patti se bhi nazuk hai kuchh dil ka mizaj log kahte hain mujhe talwar hona chahiye maut ke aaseb se 'raunaq' abas darte hain log zindagi bhar zindagi se pyar hona chahiye