niyyat ho agar nek to deta hai khuda bhi karte hain amal log to milta hai sila bhi baatin ki hararat se phunke jate hain tan-man purwai bhi chalti hai barasti hai ghata bhi chhu kar nahin guzri hai teri zulf-e-muattar is bar to mahrum chali aai saba bhi ek tum ho ki bichhde to bichhad hi gae hum se milte hain bahut log to hote hain juda bhi aadab-e-mohabbat the ki daman nahin chhoda tum dur na the dur na the band-e-qaba bhi kis yas ke aalam mein hon kya jaaniye 'athar' muddat hui aai nahin honton pe dua bhi