faqat mehnat mashaqqat ka natija kam nikalta hai dua jab man ki shamil ho to phir zamzam nikalta hai kahin par bhi sambhalne ki ye mohlat hi nahin deta kanar-e-waqt se har hadsa ek dam nikalta hai mohabbat ke safar mein jab kahin par mod aa jae suna ye hai wahin se hijr ka mausam nikalta hai safar ka marhala jo ho jahan par likh diya jae usi manzil pe aa kar zindagi ka dam nikalta hai bahut kamzor hota hai kahin par khun ka rishta kahin ek kaghzi rishta hi mustahkam nikalta hai ye kaisi wadi-e-ghurbat se wabasta hue hum log jahan sardi mein suraj bhi bahut kam-kam nikalta hai