nizam-e-zar ka ye behuda jal tha hi nahin hamari potli mein aisa mal tha hi nahin hazar suraten dekhi thin ek surat mein gham-e-zamana hamara wabaal tha hi nahin chale hi chalte the ek raushni ki rau mein kahin safar-nawardi kuchh aisa kamal tha hi nahin baras raha tha makanon pe abr zoron ka magar ye dil ki sire se nihaal tha hi nahin shaben yunhi kisi khal-e-dahan mein katte the junun karne ka koi khayal tha hi nahin magar zamana rag-o-pai mein se guzarta hai ki ab ki bar wo apni misal tha hi nahin