nuh ka tufan ek aansu se barpa kijiye

nuh ka tufan ek aansu se barpa kijiye
ji mein aata hai ki ab qatre ko dariya kijiye

be-khabar ban jaiye ya ahd pura kijiye
jis tarah se aap ka ji chahe achchha kijiye

isi-e-dauran sahi lekin koi shahid bhi ho
hum abhi to ji uthenge aap ishaara kijiye

ho chuka hona tha jo kuchh jaiye bas jaiye
marne wale ko na ab lillah ruswa kijiye

phir zara jhalki dikha kar ek zara chhup jaiye
dil ke har zarre mein aabaad ek duniya kijiye

dil hamara hai hum is ke hain azal se raaz-dar
aap khud aa kar sar-e-bazar ruswa kijiye

kaun kahta hai ki in qisson ko phir dohraiye
dil ki aabaadi mita kar zikr-e-sahra kijiye

raazdari ishq mein 'alim' nahin chhoti si baat
dil hi dil mein sochta rahta hun ab kya kijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close