numaish-e-ruKH-e-rangin-e-yar rahne de

numaish-e-rukh-e-rangin-e-yar rahne de
mujhe na chhed gul-e-nau-bahaar rahne de

asir-e-panja-e-gesu-e-yar rahne de
mere nasib mujhe be-qarar rahne de

fareb-khurda-e-rang-e-bahaar rahne de
jo dagh-dar hai dil dagh-dar rahne de

abhi na hosh mein la ai mere nasib thahar
karam-numai-e-daman-e-yar rahne de

abhi jawan hain wo ai ghurur-e-husn bata
samand-e-naz pe un ko sawar rahne de

utha na ab mujhe uth uth ke mere dard-e-jigar
pada hua hun sar-e-ku-e-yar rahne de

khiram-e-naz ke sadqe tere o mast-e-shabab
mite huon ke nishan-e-mazar rahne de

kuchh un ke dil pe asar ho chala hai ai gham-e-ishq
meri mizha ko abhi ashk-bar rahne de

teri wafaen bhi to be-hisab hain 'ahmar'
kisi ke zulm-o-sitam ka shumar rahne de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close