numayan aur bhi rukh teri be-rukhi mein rahe supurdagi ke bhi pahlu kashidgi mein rahe nazar uthi to utha shor ek qayamat ka na jaane kaise ye hangame khamushi mein rahe hawa-e-shahr-e-gharibi ki kaifiyat thi ajib nashe mein rah ke bhi hum apne aap hi mein rahe pukarte rahe kya kya na dil ke virane hum aise shahr mein uljhe the shahr hi mein rahe hisar-e-wahshat-e-dil se nikal to aae magar tamam-umr ajab sehr-e-agahi mein rahe meri wafa ki haqiqat ghubar-e-dasht-e-talab meri wafa ke fasane teri gali mein rahe kabhi to pahunchegi manzil pe sar-bulandi-e-shauq is aasare pe maqamat-e-bandagi mein rahe unhin se ubhri hain kitne ghamon ki taswiren wo sae jo meri aankhon ki raushni mein rahe hamein mila tha sharaf kaenat par 'baqar' hamein kali ki tera dil giraftagi mein rahe