ye jo phut baha hai dariya phir nahin hoga ru-e-zamin par manzar aisa phir nahin hoga zard gulab aur aainon ko chahne wali aisi dhup aur aisa sawera phir nahin hoga ghayal panchhi teri kunj mein aan gira hai is panchhi ka dusra phera phir nahin hoga main ne khud ko jama kiya pachchis baras mein ye saman to mujh se yakja phir nahin hoga shahzadi tere mathe par ye zakhm rahega lekin is ko chumne wala phir nahin hoga 'sarwat' tum apne logon se yun milte ho jaise un logon se milna phir nahin hoga