nuqsan kya bataen hamara kiya bahut is karobar-e-dil ne khasara kiya bahut chaaron taraf the phul shafaq ke khile hue jis sham aasman ka nazara kiya bahut ab kya karun ki shor mein aawaz dab gai main us ko shahr-e-jaan mein pukara kiya bahut shabnam se pyas tu ne yaqinan bujhai hai main ne bhi aansuon pe guzara kiya bahut