sirf ek soz to mujh mein hai magar saz nahin main faqat dard hun jis mein koi aawaz nahin mujh se jo chahiye wo dars-e-basirat lije main khud aawaz hun meri koi aawaz nahin wo maze rabt-e-nihani ke kahan se laun hai nazar mujh pe magar ab ghalat-andaz nahin phir ye sab shorish-o-hangama-e-alam kya hai isi parde mein agar husn-e-junnun-saz nahin aatish-e-jalwa-e-mahbub ne sab phunk diya ab koi parda nahin parda-bar-andaz nahin