nur-e-sahar kahan hai agar sham-e-gham gai kab iltifat tha ki jo khu-e-sitam gai phera bahaar ka to baras do baras mein hai ye chaal hai khizan ki jo ruk ruk ke tham gai shayad koi asir abhi tak qafas mein hai phir mauj-e-gul chaman se jo ba-chashm-e-nam gai qabze mein josh-e-gul na khizan dastaras mein hai rahat bhi kab mili hai agar wajh-e-gham gai han tarh-e-ashiyan bhi unhin khar-o-khas mein hai bijli jahan pe khas ba-rang-e-karam gai han shaiba gurez ka bhi pesh-o-pas mein hai wo be-rukhi ki naz ka thi jo bharam gai ab kaenat aur khudaon ke bas mein hai ab rahbari mein qudrat-e-dair-o-haram gai jadu ghazal ka jazb-e-tamanna ke ras mein hai yani wo dil ki baat dilon mein jo dam gai