jangal ki tarah phaila hua dar samet kar main jaana chahta hun kahin ghar samet kar duniya sametne ke talabgar hain bahut rakkha hai main ne khud ko bhi aksar samet kar ji chahta hai rakh dun kisi roz aag par gham-ha-e-rozgar ka daftar samet kar kati hai raat hum ne andheron ke darmiyan aankhon mein apni subh ka manzar samet kar jite-ji koi dal gaya mere sar pe khak apnaiyat ki reshmi chadar samet kar 'masum' aasmanon ki rakhte the jo khabar wo rauzanon mein baith gae par samet kar