nur-o-nikhat ki ye barsat kahan thi pahle zindagi itni hasin raat kahan thi pahle ab to palkon pe sitare se laraz uthte hain gham-e-mahbub ki ye baat kahan thi pahle teri yaadon se farozan hain fazaen jin ki aisi raaton se mulaqat kahan thi pahle un ki badmast nigahon ka karam hai ai dil zindagi bazm-e-kharabaat kahan thi pahle kaif ye dard-e-mohabbat ne kiya hai paida ye dil-awezi-e-naghmat kahan thi pahle aaj yun dil ke tadapne ka bharam tuta hai hasrat-e-ltuf-o-inayat kahan thi pahle 'naqsh' un shokh nigahon ka fusun hai warna dil mein ye shorish-e-jazbaat kahan thi pahle