ochhi thi nazar hi jab to bhala arman-e-tamasha kya karte zarre ke jigar tak ja na sake hum himmat-e-sahra kya karte raat us ne naqab ulti jo zara sab band tayyun tut gae wo wo na raha hum hum na rahe ai shauq-e-tamasha kya karte be-kaif hamara jina tha be-mai ka saghar pina tha us dil mein tamanna hi na ugi hum tark-e-tamanna kya karte tum ne hi chaman ko lut liya tum ne hi nasheman phunk diya hum shukr ki himmat kar na sake sharma gae shikwa kiya karte