qafas ko tod ke taza hawa mein sans liya wajud chhod ke taza hawa mein sans liya dhuen ke shahar mein barish ka shukr wajib tha so hath jod ke taza hawa mein sans liya faza ki dusri jaanib tha bagh phulon ka mahaar mod ke taza hawa mein sans liya the ek ghubbara-numa aasman ki qaid mein hum ghubbara phod ke taza hawa mein sans liya safar ki dhul se 'akash' at chuka tha khala zamin nichod ke taza hawa mein sans liya