office mein bhi ghar ko khula pata hun main table par sar rakh kar so jata hun main gali gali main apne aap ko dhundta hun ek ek khidki mein us ko pata hun main apne sab kapde us ko de aata hun us ka nanga jism utha lata hun main bas ke niche koi nahin aata phir bhi bas mein baith ke behad ghabraata hun main marna hai to sath sath hi chalte hain thahar zara ghar ja ke abhi aata hun main gadi aati hai lekin aati hi nahin rail ki patri dekh ke thak jata hun main 'alwi' pyare sach sach kahna kya ab bhi usi ko rota dekh ke yaad aata hun main